baawra mann dekhne chala ek sapna
baawra mann dekhne chala ek sapna
baawre se mann ki dekho baawri hai baatein
baawre se mann ki dekho baawri hai baatein
baawri si dhadkane hai baawri hai sansein
baawri si karwaton se nidiya door bhage
baawre se nayan chahe baawre jharokon se
baawre nazaron ko .....takna!
baawra mann dekhne chala ek sapna
baawre se is jaha mein baawra ek saath ho
is sayani bheed mei bas hatho mein tera haath ho
baawri si dhun ho koi baawra ek raag ho
baawri si dhun ho koi baawra ek raag ho
baawre se pair chahe baawre tarano ke
baawre se bol pe .......thirakna!
baawra mann dekhne chala ek sapna
baawra sa ho andhera baawri khamoshiyan
baawra sa ho andhera baawri khamoshiyan
thartharati lou ho madhham baawri madhoshiyan
baawra ek ghungta chahe houle houle bin bataye
baawra ek ghungta chahe houle houle bin bataye
baawre re mukhde se .......sarakna!
Baawra mann dekhne chala ek sapna
Baawra mann dekhne chala ek sapna
- Lyrics of "Baawra Mann" from the Hazaar Khwahishein Aisi
3 comments:
this is the second (or third??) mention of this movie on your blog.. seem to have loved it a lot..
hain ji?
mail-shail karo yaar...ka kar rahe ho?
Dude bhai..
Ek lambi mail kerte hai time milne per. Waise this movie is one of the best ones that I have seen. The characters are so real!
And it makes you think and wonder again and again and again!
The characters are real indeed..
The lines that appeal me most...
baawre se is jaha mein baawra ek saath ho
is sayani bheed mei bas hatho mein tera haath ho
baawri si dhun ho koi baawra ek raag ho
baawri si dhun ho koi baawra ek raag ho
All the three actors are brilliant!
Post a Comment